Thursday, April 21, 2005

 

Birth

manthan,
jab karta hai man,
chitra jo ankit smriti-pat par,
phir se rangon ko unmen bhar,
kar deta jeevit kuch aise,
ghate, hua ho jaise pal bhar!
haath uthte phir kalam ko,
aur gati dete hain man ko,
thaam lene ke liye phir,
mit rahe us ek pal ko!
chahata tab, man, ki chun-chun,
smriti-veena ko sun-sun,
rok de badhte samay ko,
karde har ek pal ka varnan!
bhoot kshan jo ho rahe mrit,
unko phir se karne chandan,
ye liye uddeshay sang mein,
lo hua jeevit SPANDAN!


Comments:
Its MAGNIFICENT LoX. Wonderful poem. Congrats and all the best for the new blog.
 
wah, kaviraj, wah!

to aap bhi utar aye is web-log ki duniya nein! suswagatam!!
 
Nice poem,loki.
 
Still waiting for some new post!!!!
 
Janam hui uski, kabi ki kripa se
Likhne Utar aaye kabi jab Blog ki duniya mein.

Par afsos ki baat hain ye,
Ki ek 'Post' ke baad hi mar gaye bichare!!!
 
Loki ji, kuch kahiye bhi!
warna yun-hi log
aapke blog pe
apni kavitaein chhaapte rahenge
 
Hey loks!
great going man. Loved both your poems... and as I have said before -- you have a talent for this. Keep shining, dude!
Ashish
 
Post a Comment

<< Home

This page is powered by Blogger. Isn't yours?