Sunday, February 05, 2006

 

Hum tere sanam hote!!

Hum tere sanam hote!
padha tha maine teri aankhon mein, aansuon se labaalab bhare samandar ki satah par.
sah na paayee thi mera pratibimb tum, moond li thi palaken, utar aaya tha vo ashkon par.
chaaha tha sahej kar rakh loon, un motiyon par sirf mera hi to haq tha.
par tumhare chehere ko chhoo na sakta tha, vo kisi aur ka ho chuka tha.
katra-katra samandar teri aankhon se bahata raha, laal jode ko bhigo gaya.
bas karo ab aur nahin, main tumse kahata raha, vo mujhko poora dubo gaya.

donon chup the, but se, dekhate rahe, mazaal ki ek shabd bhi goonja hota.
gar ye taale pahele tod diye hote, aaj apna ye haal to na hua hota.
tum jaanati thin, main jaanta tha, kahane ki kisi mein himmat na thi.
lekin mere khuda, itne se gunaah ki, itni badi to keemat na thi.
patthar ho gaya hoon, khada hoon tere saamne, kuch nahin soojhata, bas ek khayaal hai.
tu jahan rahe khush rahe, main khush rahoonga, pata nahin, bas aakhiri ek sawaal hai.
kya ye pal aisa hi hota, agar tum mere sanam hote?

Thursday, February 02, 2006

 

Some more with touch of Urdu

yaad mein teri sanam, hum khaak ho chale the,
ab to giriyaa pe bhi, ikhtiyaar kho chale the!
ek lamhaa raha gayaa thaa, tumne phir aawaaz di,
varnaa hum to khwaahish-e-hayaat kho chale the!!

shayad mein zindagin mein tere sang chal na paaoon,
shayad mein apne hothon ko sil hi jaaoon!
shayad mein tujhse phir kabhi mil na paaoon,
ya phir shayad mein tujh mein hi mil jaaoon!!

This page is powered by Blogger. Isn't yours?