Thursday, April 21, 2005
Birth
manthan,
jab karta hai man,
chitra jo ankit smriti-pat par,
phir se rangon ko unmen bhar,
kar deta jeevit kuch aise,
ghate, hua ho jaise pal bhar!
haath uthte phir kalam ko,
aur gati dete hain man ko,
thaam lene ke liye phir,
mit rahe us ek pal ko!
chahata tab, man, ki chun-chun,
smriti-veena ko sun-sun,
rok de badhte samay ko,
karde har ek pal ka varnan!
bhoot kshan jo ho rahe mrit,
unko phir se karne chandan,
ye liye uddeshay sang mein,
lo hua jeevit SPANDAN!
jab karta hai man,
chitra jo ankit smriti-pat par,
phir se rangon ko unmen bhar,
kar deta jeevit kuch aise,
ghate, hua ho jaise pal bhar!
haath uthte phir kalam ko,
aur gati dete hain man ko,
thaam lene ke liye phir,
mit rahe us ek pal ko!
chahata tab, man, ki chun-chun,
smriti-veena ko sun-sun,
rok de badhte samay ko,
karde har ek pal ka varnan!
bhoot kshan jo ho rahe mrit,
unko phir se karne chandan,
ye liye uddeshay sang mein,
lo hua jeevit SPANDAN!